ab mere liye aankh teri nam hai mujhe kya

ab mere liye aankh teri nam hai mujhe kya
ab tark-e-marasim ka tujhe gham hai mujhe kya

is shahr-e-nigaran mein sar-e-sham abhi tak
phulon se mahakta hua mausam hai mujhe kya

raushan tha jo barson se diya meri wafa ka
ab tere shabistan mein wo maddham hai mujhe kya

phir tere labon par hai wahi rang hina ka
shane pe tere zulf bhi barham hai mujhe kya

ye fasl-e-bahaaran ye junun-khezi-e-mausam
ab dil mein tera gham bhi bahut kam hai mujhe kya

ek dasht-e-tahayyur ka saman hai mere aage
manzil ka nishan aaj bhi mubham hai mujhe kya

main dhalti hui dhup mein sae ki tarah hun
tu nikhat-e-gul husn-e-mujassam hai mujhe kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close