aaina ek KHayal ka hun shishagar nahin

aaina ek khayal ka hun shishagar nahin
main wo makan hun jis ka koi baam-o-dar nahin

kis samt ja raha hun ye mujh ko khabar nahin
main jis ki hun talash mein ye wo sahar nahin

aaya hun ajnabi ki tarah shahr-e-dard mein
jo rahguzar mili wo teri rahguzar nahin

apni salib-e-jaan pe khada hun barahna sar
ek jam hun sifal ka main kuza-gar nahin

ek dasht-e-be-guman mein hai manzil ki justuju
ek karb-e-la-zawal hai jis se mafar nahin

tanhaiyon ke zahr se be-kal hai zindagi
mera rafiq-e-shab bhi mera ham-safar nahin

har shakh par salib ka hota hai ab guman
be-barg har shajar hai ki jis mein samar nahin

aksar ye sochta hun safar ka nishan mile
shayad rah-e-hayat abhi mukhtasar nahin

pani ki bund ko bhi tarasti hai ye zamin
abr-e-bahaar ka bhi yahan se guzar nahin

tair ki tarah main hun 'saba' ab shikasta par
parwaz ki hawas hai magar baal-o-par nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close