ab meri chashm ki tasKHir nahin hoti hai

ab meri chashm ki taskhir nahin hoti hai
so meri aah mein tasir nahin hoti hai

main bhi paband-e-salasil nahin rah pata hun
us ki zulfon se bhi zanjir nahin hoti hai

wo hi aa kar kare jis se bhi ho ye wabasta
mujh se ek khwab ki tabir nahin hoti hai

shokh aankhon mein jo hoti hai raqam khushbu se
aisi tasnif ki tafsir nahin hoti hai

ai zamane main gunahgar nahin bas mujh se
apne haq mein kabhi taqrir nahin hoti hai

usi diwar ki taswir daraati hai mujhe
wo hi jis par koi taswir nahin hoti hai

khud-gharaz hath hain aur un mein siyasi naqshe
yun kisi ahd ki tamir nahin hoti hai

waraq-e-asr ki jis ko hai ibarat ka junun
aur ye saat ki jo tahrir nahin hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close