shakl izzat-maab ki si hai dil mein bhatti sharab ki si hai yun nishan hai jabin pe sajde ka tikiya shami kabab ki si hai radio par suni jo nazm kaha shaer-e-inqalab ki si hai bola koi gadha kaha aawaz usi khana-kharab ki si hai ab hasinon ki shakl makeup se cinema ki kitab ki si hai aap ke mere koi hai rishta baat jaise hijab ki si hai uth gae jo adib un ki misal aasmani kitab ki si hai ahl-e-fan ne suni hazal to kaha ye to 'ghaalib' nawab ki si hai 'nawak' urdu zaban ki haalat aaj gunge ke khwab ki si hai