ab misr mein kahan koi bazar mo'atabar yusuf hi mo'atabar na kharidar mo'atabar aise mein sochta hun kise mo'atabar kahun milta nahin hai jab koi kirdar mo'atabar rahzan chhupe hue hain pas-e-sang-e-mil-e-rah mutlaq nahin hai saya-e-ashjar mo'atabar tarik shab hai aur larazte hue charagh lagte nahin hain subh ke aasar mo'atabar kahne ko sarfarosh the jaanbaz the bahut thahre akele hum hi sar-e-dar mo'atabar mahfil mein ahl-e-fan bhi ye kahne lage 'habab' pukhta tera sukhan tere ashaar mo'atabar