har aan nai shan hai har lamha naya hai aaina-e-ayyam hai ya teri ada hai rahbar jise hairat se khada dekh raha hai wo rahraw-e-gum-gashta ka naqsh-e-kaf-e-pa hai nalon ne ye bulbul ke bada kaam kiya hai ab aatish-e-gul hi se chaman jalne laga hai ai jaan-e-wafa dil ke ewaz dard liya hai kuchh soch samajh kar hi to ye kaam kiya hai pahron pas-e-diwar khada tha so khada hai diwana hai paband-e-rah-e-rasm-o-wafa hai tanhai mein mahsus hua hai mujhe aksar jaise mere andar se koi bol raha hai tari hai sukut aaj samundar ki faza par gahrai mein shayad koi tufan utha hai karta tha jo khamoshi ki talqin hamesha ham-saya mera khwab mein wo chikh raha hai zindan ke darichon se hai phir shauq ne jhanka shayad ki junun-khez gulistan ki hawa hai ye gardish-e-ayyam ka ehsan hai 'tarzi' ab zakhm-e-kuhan apna hara hone laga hai