ab mo'taqid-e-gardish-e-dauran na rahe hum qabil tere ai dida-e-jaanan na rahe hum kab mil ke unhen dil ki tamannaen bar aain kab un se juda ho ke pareshan na rahe hum ye baat digar hai ki na the ru-ba-ru un ke kab did ka dil mein liye arman na rahe hum qismat to zara dekho kab aai hain bahaaren jab qabil-e-gul-gasht-e-gulistan na rahe hum saqi ki nigahon ne pila di hai kuchh aisi jam-e-mai-e-gul-fam ke khwahan na rahe hum ab dard hi rahat si hamein dene laga hai chaaragaro minnat-kash-e-darman na rahe hum 'afat' rah-e-ulfat mein hansi aai thi ek din baad us ke kabhi zist mein khandan na rahe hum