guzre wade ko wo khud yaad dila dete hain dil ki soi hui hasrat ko jaga dete hain nau-giraftar-e-qafas hain nahin karte fariyaad jaan ko teri ye sayyaad dua dete hain talib-e-jalwa-e-didar samajh kar mujh ko ek jhalak si rukh-e-raushan ki dikha dete hain zabh karte hain tadapne nahin dete mujh ko tah-e-zanu meri gardan ko daba dete hain apne mauqe pe har ek baat bhali hoti hai shab-e-furqat mein ye sadme bhi maza dete hain ghair ke kahne se dar-gor kaha karte hain jite-ji wo mujhe paigham-e-qaza dete hain main wo qaidi hun ki sone nahin dete mujh ko aankh lagti hai to zanjir hila dete hain le liya bosa-e-rukhsar to kya jurm kiya pyar ki baat pe nahaq wo saza dete hain sham-e-mahfil hun na aashiq na main bu-e-gul hun mah-jabin kyun mujhe aanchal ki hawa dete hain un ke qabze mein hai kaunain ki shahi 'ashiq' shah wo de nahin sakte jo gada dete hain