ab mujhe gulshan se kya jab zer-e-dam aa hi gaya ek nasheman tha so wo bijli ke kaam aa hi gaya sun maal-e-soz-e-ulfat jab ye nam aa hi gaya shama aakhir jal-bujhi parwana kaam aa hi gaya talib-e-didar ka israr kaam aa hi gaya samne koi ba-husn-e-intizam aa hi gaya koshish-e-manzil se to achchhi rahi diwangi chalte-phirte un se milne ka maqam aa hi gaya raaz-e-ulfat marne wale ne chhupaya to bahut dam nikalte waqt lab par un ka nam aa hi gaya kar diya mashhur parde mein tujhe zahmat na di aaj ko hona hamara tere kaam aa hi gaya jab utha saqi to waiz ki na kuchh bhi chal saki meri qismat ki tarah gardish mein jam aa hi gaya husn ko bhi ishq ki zid rakhni padti hai kabhi tur par musa se milne ka payam aa hi gaya der tak bab-e-haram par ruk ke ek majbur-e-ishq su-e-but-khana khuda ka le ke nam aa hi gaya raat bhar mangi dua un ke na jaane ki 'qamar' subh ka tara magar le kar payam aa hi gaya