subh-e-wajud hun ki shab-e-intizar hun main aashkar hun ki pas-e-ashkar hun har rang-e-be-qarar hun har naqsh-e-na-tamam mitti ka dard hun ki sitaron ka pyar hun kuchh to mere wajud ka hissa hai tere pas warna main apne aap mein kyun intizar hun ek aur aasman chamakta hai khwab mein ek aur kaenat ka aaina-dar hun tu ne mujhe khayal kiya tha isi tarah gard-o-ghubar mein bhi sitara-shiar hun jari ho be-mahaar talluq ki salsabil ek aisi barshgal ka ummid-war hun kaise khada hun kis ke sahaare khada hun main apna yaqin hun ki tera e'tibar hun ek bar apne ghar se nikala gaya tha main phir is ke baad gardish-e-lail-o-nahaar hun bas kuchh dinon ki aur saubat hai dhup ki sahra-e-jism par koi barg-zar hun tere jamal se meri aaankhon mein nur hai tera khayal hai to main bagh-o-bahaar hun sanson ke darmiyan sulagte hain baal-o-par phir bhi kisi udan ka ummid-war hun 'ahmad' kisi zaman-o-makan ka nahin hun main lamhon ki der hai jo sar-e-abshaar hun