ab mujh ko kya khabar wo yahan hai bhi ya nahin har ek se shahr mein to mera rabta nahin jannat bana to sakte hain is kaenat ko lekin meri tarah se koi sochta nahin jis rahguzar pe phul saje hain mere liye ai pa-e-shauq ab wo mera rasta nahin zahir se mutmain hai mere aur ek naqab chehre pe jo pada hai use dekhta nahin jab tak thi dil mein sans bhi khushbu bani rahi honton pe aa ke baat mein ab kuchh raha nahin ek waqt tha ki rah guzarna muhaal tha ab mud ke raste mein koi dekhta nahin ab sham ho gai hai mujhe sona chahiye suraj tere khayal ka garche dhala nahin