aain-e-wafa itna bhi sada nahin hota har bar masarrat ka iada nahin hota ye kaisi sadaqat hai ki pardon mein chhupi hai ikhlas ka to koi labaada nahin hota jangal ho ki sahra kahin rukna hi padega ab mujh se safar aur ziyaada nahin hota ek aanch ki pahle bhi kasar rahti rahi hai kyun satwan dar mujh pe kushada nahin hota sach baat mere munh se nikal jati hai aksar har-chand mera aisa irada nahin hota ai harf-e-sana sehr-e-musallam tera tujh se badh kar to koi saghar-e-baada nahin hota afsana-e-afsun-e-jawani ke alawa kis baat ka duniya mein iada nahin hota suraj ki rifaqat mein chamak uthta hai chehra 'shabnam' ki tarah se koi sada nahin hota