ab mulaqat kahan shishe se paimane se fatiha padh ke chale aae hain mai-khane se kya karen jam-o-subu hath pakad lete hain ji to kahta hai ki uth jaiye mai-khane se phunk kar hum ne har ek gam pe rakkha hai qadam aasman phir bhi na baz aaya sitam dhane se hum ko jab aap bulate hain chale aate hain aap bhi to kabhi aa jaiye bulwane se are o wada-faramosh pahad aisi raat kya kahun kaise kati tere nahin aane se yaad rakh! waqt ke andaz nahin badlenge are allah ke bande tere ghabrane se sar chadhaen kabhi aankhon se lagaen saqi tere hathon ki chhalak jae jo paimane se khali rakkhi hui botal ye pata deti hai ki abhi uth ke gaya hai koi mai-khane se aaegi hashr ki naseh ki samajh mein kya khak jab samajhdar samajhte nahin samjhane se barq ke dar se kaleje se lagae hue hai chaar tinke jo utha lai hai virane se dil zara bhi na pasija but-e-kafir tera kaba allah ka ghar ban gaya but-khane se shama bechaari jo ek munis-e-tanhai thi bujh gai wo bhi sar-e-sham hawa aane se ghair kahe ko sunenge tera dukhda 'bismil' un ko fursat kahan hai apni ghazal gane se