karb dar-parda-e-tarab hai abhi muskurahat bhi zer-e-lab hai abhi hain pareshan hayat ke gesu na karo zikr-e-subh shab hai abhi mil to sakta hai aadmi mein khuda aadmi aadmi hi kab hai abhi lakh samjhaute haal se kijiye thi ghazab yaad ek ghazab hai abhi kis qadar kaamyab hai insan bhuk hi maut ka sabab hai abhi zindagi tishnagi mein thi sarshaar ho ke sarshaar tishna-lab hai abhi bazm-e-imkan hai juzw-e-fikr-o-nazar aql-e-kul aql-e-bul-ajab hai abhi ek hawas hai ki qahqaha parwaz ek mohabbat ki jaan-ba-lab hai abhi mit gae fasle khalaon ke rang hai nasl hai nasab hai abhi khud-numai ke wahm ka ibham nam ke sath ek laqab hai abhi tul rahi hai hayat hathon par faelun faelun adab hai abhi sab jo paya hai aaj kuchh bhi nahin kuchh jo khoya tha kal wo sab hai abhi ghar ke tiksal ki mashinon mein dil ka wo shor wo shaghab hai abhi har nazar ek sawal hai 'amir' har nafas faisla-talab hai abhi