ab na aaega kabhi ruTh ke jaane wala

ab na aaega kabhi ruth ke jaane wala
umr bhar khat wahi padhiyega sirhane wala

wo marasim bhi nibhata hai to rasmon ki tarah
aa gaya us ko bhi dastur zamane wala

ye juda hone ki rut hai na dikhao ji ko
zikr chhedo na koi agle zamane wala

main ne yaadon ko kafan de ke sula rakkha hai
kaun aaega yahan milne milane wala

shiddat-e-gham se pighal jaoge ek din tum bhi
sikh lo hum se hunar hansne hansane wala

khub ujada hai kai bar dayar-e-dil ko
ja basa dur kahin ghar ko basane wala

ab to rasman bhi mulaqat na hogi us se
bas khayalon mein chala aaega jaane wala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close