tishna-dahan ko pyas ki shiddat na mar de

tishna-dahan ko pyas ki shiddat na mar de
ai shakhs mujh ko teri zarurat na mar de

hota hai jis tarah se mukafat ka amal
tujh ko hamare baad mohabbat na mar de

tu bich mein na aa ye tera masala nahin
teri ye guftugu meri himmat na mar de

jalne do un ko aur unhen dekhte raho
in munkiron ko bughz-e-wilayat na mar de

aisa na ho ki hum na milen umr bhar kahin
phir soch lo kahin hamein furqat na mar de

kahte hain log sabr ka hota hai mitha phal
thahro ruko suno tumhein ujlat na mar de

bas is liye main tere barabar na aa saka
main sochta tha mujh ko ye shohrat na mar de

jata zarur tur pe main dekhne use
phir dar gaya kahin mujhe hairat na mar de

har shakhs apna hota nahin 'jaun' jaan le
tujh ko kahin lihaz-o-murawwat na mar de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close