ab na de ilzam bedardi ka makkari na kar tu hi khud ko jaanch le mujh se adakari na kar teri aankhon se na bah nikle kahin mera lahu war karna hai tujhe to is qadar kari na kar manta hun main ne tere zabt ko chheda magar rah mein yun dekh kar izhaar-e-be-zari na kar waza-dari se akele umr katti hai kahin apne hathon zindagi ko is qadar bhaari na kar rasta chal dekh kar ye khanjaron ka shahr hai mujh se chahe kuchh bhi kar le khud se ghaddari na kar