baz dil yaad se un ki na zara-bhar aaya wo na aaya to khayal un ka barabar aaya saqiya dard-bhara hi raha paimana-e-chashm so teri baat pe chhalka jo zara-bhar aaya aah wo shiddat-e-gham hai ki meri aankhon se bund-do-bund nahin ek samundar aaya jis se bachne ke liye band kin aankhen hum ne band aankhon pe bhi aage wahi manzar aaya ye jo sahra mein phira karta hai diwana sa khud ko duniya ke jhamelon se chhuda kar aaya dil ko shiddat se tamanna thi tere kuche ki so bade shauq se us ko main wahan dhar aaya