ab na wo ishq na kuchh us ki khabar baqi hai hai safar khatm ek aashob-e-safar baqi hai koi aaya na gaya barson se in rahon mein marka kaisa sar-e-rahguzar baqi hai jalne pata nahin koi diya koi jugnu taq-e-dil mein gai aandhi ka asar baqi hai ab bhi kahlata hai wo shakhs to mahbub-e-nazar dil dukhane ka abhi us mein hunar baqi hai aakhiri shama to lo bujh gai jal kar yaro is dhuen mein magar imkan-e-sahar baqi hai sab marahil se guzar bhi liye kab ke hum 'ah' habs-e-tanhai mein mar jaane ka dar baqi hai