ab nind kahan aaankhon mein shoala sa bhara hai ye tapte hue honton ko takne ki saza hai aashob jahan-guzaran ne ye kiya hai is daur ka har fard-o-bashar aabla-pa hai ai shabnam-e-giryan tujhe is ka bhi pata hai kaliyon ka tabassum bhi bahut dard-numa hai har ahl-e-hawas zinat-e-khalwat-kada-e-naz har ahl-e-wafa aaj sar-e-dar khada hai ek nur-e-mujassam ke parastar hain 'akhtar' hum kah nahin sakte hain wo but hai ki khuda hai