apni na-karda-gunahi ki saza ho jaise hum se is shahr mein har ek khafa ho jaise sochte chehron pe jalte hue aasar-e-hayat yak-ba-yak waqt ka irfan hua ho jaise ye dhundalke ye dar-o-baam ka gambhir sukut chandni raat mein mahtab luta ho jaise tujh se milne ki tamanna teri qurbat ka khayal reg-zaron mein koi phul khila ho jaise wahi khubi wahi ikhlas-o-murawwat ke nishan hyderabad ki ek shahr-e-wafa ho jaise