ab raha kya hai jo ab aae hain aane wale jaan par khel chuke jaan se jaane wale ye na samjhe the ki ye din bhi hain aane wale ungliyan hum pe uthaenge uthane wale kaun samjhae na ithla ke sar-e-rah chaliye hain ye andaz gunahgar banane wale puchhne tak ko na aaya koi allah allah thak gae panw ki zanjir bajaane wale kahin rona na pade tujh ko zamane ke sath are o waqt ki jhankar par gane wale aap andaz-e-nazar apna badalte hi nahin aur bure bante hain bechaare zamane wale puchhti hai dar-o-diwar se bimar ki aankh ab kahan hain wo mere naz uthane wale ba-khuda bhul gae apni musibat 'bismil' yaad jab aae mohammad ke gharane wale