na sakat hai zabt-e-gham ki na majal-e-ashk-bari ye ajib kaifiyat hai na sukun na be-qarari tera ek hi sitam hai tere har karam pe bhaari gham-e-do-jahan se de di mujhe tu ne rustagari meri zindagi ka hasil tere gham ki pasdari tere gham ki aabru hai mujhe har khushi se pyari ye qadam qadam balaen ye sawad-e-ku-e-jaanan wo yahin se laut jae jise zindagi ho pyari tere jaan-nawaz wade mujhe kya fareb dete tere kaam aa gai hai meri zud-e'tibari meri raat muntazir hai kisi aur subh-e-nau ki ye sahar tujhe mubarak jo hai zulmaton ki mari