ab safar ho to koi khwab-numa le jae koi aae mujhe palkon pe utha le jae khud mein jhumun kabhi auron ke liye lahraun is se pahle ki hawa mera diya le jae hae wo aankh ki jo harf sujhati thi kabhi ab sar-e-ku-e-ghazal kaun bula le jae us ne chaha bhi to kis zarf se chaha mujh ko jaise sine mein koi harf-e-dua le jae zindagi bhar ka safar ho gai chahat teri ab jahan tak tere qadmon ki sada le jae dil ko dhadka hai ki shamen hi bujhi thin pahle ab ke aandhi mera khema na uda le jae 'shauq' dariyaon ka pindar nahin tum jaisa ye jo biphre to bhara shahr baha le jae