man ke aangan mein khayalon ka guzar kaisa hai ye chahakta hua viran sa ghar kaisa hai mera mazi jahan bikhra sa pada hai har su ab wo pipal ke tale ujda khandar kaisa hai sakht pathraw tha kal raat teri basti mein din nikalne pe ye dekhenge ki sar kaisa hai jaan dena hai hamein ek shiwale ke qarib aap batlaen zara aap ka dar kaisa hai dil ke madfan mein 'tapish' dafn hai ehsas ka jism tum ne chhoda jise dekho wo nagar kaisa hai