ab sarab ke chashme maujzan nahin hote khushk ho gae shayad tishnagi ke sab sote nind mein bhi chadar ka itna pas hai tum ko kuchh to panw phailao is tarah nahin sote kaisi raat aai hai nind ud gai sab ki manzilen thapakti hain qafile nahin sote khwab khud haqiqat hain aankh khol kar dekho kis ne kah diya tum se khwab sach nahin hote chaak ho gaya daman hath ho gae zakhmi ek dagh-e-ruswai aur kis tarah dhote girya-o-tabassum to hain naqab chehron ke aaine nahin hanste aaine nahin rote