gesu o rukhsar ki baaten karen aao mil kar pyar ki baaten karen bewafai jis ka hai tarz-e-amal bas usi dildar ki baaten karen aaj-kal paidal safar dushwar hai khubsurat car ki baaten karen le ke niklen ek mobile hath mein ab to bas be-tar ki baaten karen jab samajh mein kuchh na aae aap ko baith kar be-kar ki baaten karen baat kanton ki tarah jis ki chubhe kyun usi gulnar ki baaten karen sulh par jab donon aamada hue phir ye kyun talwar ki baaten karen jo yahan dawa bade wade kare bas usi sarkar ki baaten karen kyun ho 'azam' ek mahbuba ki baat aur bhi do-chaar ki baaten karen