ab shahr ki aur dasht ki hai ek kahani har shakhs hai pyasa ki mayassar nahin pani main tod bhi sakta hun riwayat ki zanjir main dahr ke har ek tamaddun ka hun bani main ne teri taswir ko kya rang diye hain andaz badal deta hai lafzon ke maani ab bhi hai hawaon mein gae waqt ki aawaz mahfuz hai sinon mein har ek yaad purani main sab se alahada hun magar mujh mein hai sab kuchh thahra hua sahra ho ki dariya ki rawani ek umr se in aankhon ne baadal nahin dekhe dekhi na suni thi kabhi aisi bhi girani