hum ki the khush-fahm din ki be-panahi dekh kar hath malte rah gae shab ki siyahi dekh kar kaun daman dekhta hai kaun sunta hai dalil jurm sabit ho raha hai be-gunahi dekh kar hum na kahte the dinon mein ek hamara din bhi hai din badalte hain hamari dad-khwahi dekh kar dilbari se khud-parasti ne rakha na-ashna rukte rukte ruk gae hum kam-nigahi dekh kar harf-e-be-mani se behtar hai nawa-e-be-sada ro pada main waqt ki viran-nigahi dekh kar khak par likkhe gae hum khak par rakkhe gae lahlahae sabzagi ki khush-giyahi dekh kar dil-nashin hai ghuncha-e-nau-waqt lekin kab talak dil lahu hai shakh-e-gul ki kaj-kulahi dekh kar kitne aise dard hain jin ki dawa chahi gai sochta hun zakhm-e-dil ki bar-gahi dekh kar dida-e-sailab-ju ki dasht-pairai khumar aalam-e-khashak ki dekhi tabahi dekh kar