ab shahr mein kahan rahe wo ba-waqar log mil kar khud apne-ap se hain sharmsar log hathon mein waqt ke to koi sang bhi na tha kyun tut kar bikhar gae aaina-war log apne dukhon pe tanz koi khel to na tha zakhmon ko phul kah gae hum waza-dar log baithe hain rang rang ujale tarashne rakh kar lahu ki shama sar-e-rahguzar log kuchh sadgi-e-taba thi kuchh maslahat ka jabr kanton ko pujte rahe bagh-o-bahaar log aab-o-hawa-e-shahr junun-khez thi bahut daman nahin the phir bhi hue tar tar log phunka hamein to narm shagufon ki os ne jite hain kaise dil mein chhupa kar sharar log