dastan-e-zindagi likhte magar rahne diya us ke har kirdar ko bas mo'atabar rahne diya koi manzil koi mafruza na tha pesh-e-nazar zer-e-pa ek rah-guzar thi rahguzar rahne diya dil ke har mausam ne bakhshi daulat-e-ehsas-o-dard sirf is sarmae ko zad-e-safar rahne diya sath ek khush-bash lahja mahfilon mein le ke aae dil ki virani ko tanha apne ghar rahne diya shor karti bhagti duniya mein shamil bhi rahe ek sur maddham sa dil ke saz par rahne diya waqt ke bahte hue dariya pe kashti dal kar sare andeshon se khud ko be-khabar rahne diya khud-gharaz thoda sa hona bhi zaruri tha magar tajrabon se sikh kar bhi ye hunar rahne diya sari duniya ke liye har shab dua-e-khair ki zikr apni khwahishon ka mukhtasar rahne diya kyun koi dekhe hamare dil ki sari mumlikat ek jhalak dikhlai hai aur beshtar rahne diya kaun daman-gir hai aksar ye karta hai sawal kar to saktin thin bahut kuchh tum magar rahne diya