ab soch rahe hain yahan kya kya nahin dekha

ab soch rahe hain yahan kya kya nahin dekha
nikle jo teri samt to rasta nahin dekha

tu ne kabhi aankhon se bahae nahin aansu
tu ne kabhi dariyaon ko bahta nahin dekha

phir yun hai ki suraj ko nahin jaanta wo shakhs
jis ne mere aangan ka andhera nahin dekha

karte hain bahut baat ye virani-e-dil ki
un logon ne shayad mera huliya nahin dekha

go gardish-e-dauran mein hain din-raat magar yan
hai aisi siyahi ki sawera nahin dekha

us shakhs ko aaya nahin milne ka saliqa
us shakhs ne is sal bhi mela nahin dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close