kahin subh-o-sham ke darmiyan kahin mah-o-sal ke darmiyan ye mere wajud ki saltanat hai ajab zawal ke darmiyan abhi sehn-e-jaan mein bichhi hui jo bahaar hai use kya kahun main kisi itab ki zad mein hun tu kisi malal ke darmiyan hain kisi ishaare ke muntazir kai shahsawar khade hue ki ho garm phir koi marka mere zabt-e-haal ke darmiyan nahin tarjuman-e-bayan koi jo hai parda-dar-e-sukut hai hain ye dagh dagh ibaraten bade ehtimal ke darmiyan yahan zarra zarra hai dida-war nahin zarra bhar koi be-khabar kisi kam-nazar ko padi hai kya pade kyun sawal ke darmiyan na raha dhuan na hai koi bu lo ab aa gae wo suragh-ju hai har ek nigah gurez-khu pas-e-ishtial ke darmiyan the jo par-kusha hain zubun zubun the jo sar-ba-kaf hue sar-nigun kahin kho gae darun darun ye kis indr-jal ke darmiyan lagi zarb aisi hai bar-mahal ki ye marhala bhi hai jaan-gusil hue zakhm phir se lahu lahu the jo indimal ke darmiyan kabhi shikwa-zan kabhi nukta-chin kabhi baghiyon ka himayati ye 'khalish' hai kaun kaho use rahe e'tidal ke darmiyan