ab tahaffuz nahin hai jaanon ka ye hai ehsan hukmaranon ka bhuk iflas aur bimari masala hai kai gharanon ka sari basti nigal gaya tufan kya chalega pata makanon ka ho gaya kitna lalchi insan ban gaya sanp wo khazanon ka tolte hain paron ko wo apne ilm jin ko nahin udanon ka sirf baqi raha kitabon mein zikr ab shahi khandanon ka chahte ho 'waqar' aazadi fidya dena padega jaanon ka