bewafa pae gae husn ke paikar kitne

bewafa pae gae husn ke paikar kitne
phir bhi wabasta rahe un se muqaddar kitne

uth gae mahfil-e-duniya se sukhnawar kitne
un mein guzre hain sadaqat ke payambar kitne

aaj ban baithe hain but-khanon ki azmat ke nishan
mere hathon ke tarashe hue patthar kitne

ghair mumkin nahin taskhir-e-zamana lekin
aap ke pas hain akhlaq ke zewar kitne

nekiyan karke bhula dena hai shewa jin ka
dekhiye basti mein aise hain tawangar kitne

dur kar dete hain ahbab-o-aqarib ko nadim
munh se nikle hue alfaz ke nashtar kitne

imtihan le ke kai bar falak ne dekha
khak ke putle mein poshida hain jauhar kitne

rahnumai ka kabhi dawa kiya karte the
bich tufan ke hamrah the rahbar kitne

pur-sukun daur ki hasrat mein khuda jaane 'aziz'
dekhne honge hamein khun ke manzar kitne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close