ab tak isi khayal mein uljha hua hun main apne badal gae hain ki badla hua hun main diwar-o-dar ko dekh ke lagta hai dilbara teri gali se pahle bhi guzra hua hun main bikhre hue se baal hain daman hai tar tar puri tarah se hijr mein sanwara hua hun main shayad ki ek roz wo aa kar samet le muddat se ku-e-yar mein bikhra hua hun main baada-kashi ke baad to aaya hun hosh mein duniya samajh rahi hai ki bahka hua hun main ya-rab ye zindagani mein kaisa jumud hai thahra hua hai waqt ya thahra hua hun main aaya hun apne shahr to lagta hai yun 'zaki' jaise ki ek dasht mein bhatka hua hun main