zer-e-baam gumbad-e-khazra azan wo bilali saut wo samea kahan khojta hai an-ginat masjud mein qul-ho-allaho-ahad ka saeban but-tarashi chaar-su hai jalwa-gar de gai sab ki jabinon ko nishan yasiyat ne karb ke dar wa kiye khushk ummidon ka gulshan hai yahan to rahin-e-khana-ha-e-iztirab uth raha hai tere chilman se dhuan zulmaten saya-fagan hain har taraf baam-o-dar par raqs mein nau-midiyan ruk zara padh kalma-e-la-taqnatu khud-bakhud rauzan khulenge darmiyan hauslon ke phir se ug aaenge par azm-e-mohkam ko bana le saeban