ab tak shikayaten hain dil-e-bad-nasib se ek din kisi ko dekh liya tha qarib se aksar ba-zom-e-tark-e-mohabbat khuda gawah guzra chala gaya hun dayar-e-habib se dast-e-khizan ne badh ke wahin us ko chun liya jo phul gir gaya nigah-e-andalib se ahl-e-sukun se khel na ai mauj-e-imbisat ek din ulajh ke dekh kisi gham-nasib se na ahl-e-naz ko bhi mile fursat-e-niyaz main dur hat gaya jo wo guzre qarib se ye kis khata pe ruth gai chashm-e-iltifat ye kab ka intiqam liya mujh gharib se un ke baghair bhi hai wahi zindagi ka daur haalat-e-zindagi hain magar kuchh ajib se samjhe hue the husn-e-azal jis ko hum 'shakil' apna hi aks-e-rukh nazar aaya qarib se