aankhon se dur subh ke tare chale gae nind aa gai to gham ke nazare chale gae dil tha kisi ki yaad mein masruf aur hum shishe mein zindagi ko utare chale gae allah re be-khudi ki hum un ke hi ru-ba-ru be-ikhtiyar unhi ko pukare chale gae mushkil tha kuchh to aish ki bazi ka jitna kuchh jitne ke khauf se haare chale gae nakaami-e-hayat ka karte bhi kya gila do din guzarna the guzare chale gae targhib-e-tark-e-shauq ke parde mein gham-gusar har naqsh-e-arzu ko ubhaare chale gae pahunchai kis ne dawat-e-mai ahl-e-zohd ko shayad teri nazar ke ishaare chale gae wo dil harif-e-jalwa-e-firdaus ban gaya jis dil mein tere gham ke sharare chale gae un ke baghair zist ba-har-haal zist thi jaisi guzarni thi guzare chale gae jalwe kahan jo zauq-e-tamasha nahin 'shakil' nazren chali gain to nazare chale gae