ab tak to yahi pata nahin hai is shahr mein kya hai kya nahin hai patte ko na is tarah se dekho tahni se abhi gira nahin hai chup-chap khada hua hun kab se ehsas to hai sada nahin hai ek lamhe mein main bhi tu bhi dukh bhi zalim koi waqt sa nahin hai jo aks hai aaine mein mera us se koi wasta nahin hai us rah pe chal raha hun kab se jis rah mein naqsh-e-pa nahin hai har tan pe jo 'ashk' thik baithe wo coat abhi sila nahin hai