ab tegh ki baaten hain na talwar ki baaten karte nahin diwane bhi ab dar ki baaten har hath masiha hai to har god hai mariyam bimar samajh lete hain bimar ki baaten kahte hain magar ghair se afsana-e-jaanan jaanan se kiye jate hain aghyar ki baaten aadab-e-rifaqat se shanasa hui jab se bulbul ne aqidat se suni khar ki baaten tapte hue suraj ke tale unghta bachcha karte raho us se gul o ashjar ki baaten paband-e-salasil hai use khul ke sunao zanjir ke qisse kabhi jhankar ki baaten rakh rakh ke taraazu mein mera daftar-e-amal tolenge gunahgar gunahgar ki baaten khamoshi mein pinhan hai mere dard ki aawaz baaton se alawa hain dil-e-zar ki baaten