soz-parwar nigah rakhte hain hum nazar mein bhi aah rakhte hain is hujum-e-tajalliyat mein hum hasrat-e-yak-nigah rakhte hain ye talluq jahan se kafi hai aap se rasm-o-rah rakhte hain bakhsh dega wo bakhshne wala bas ye uzr-e-gunah rakhte hain hum hijabaat se nahin mayus jalwa pesh-e-nigah rakhte hain gham wasila hai aur tu maqsud hum ye manzil ye rah rakhte hain ek jalwa dikha nahin sakte wo jo ek jalwa-gah rakhte hain koi aalam ho hazrat-e-'tabish' kaj hamesha kulah rakhte hain