ab to aa ja meri palken hain ye pyasi kab se

ab to aa ja meri palken hain ye pyasi kab se
farsh-e-rah baithi hai aa dekh udasi kab se

mujh ko bhi achchha nahin lagta sanwarna lekin
tark tu ne kiya ye zauq-e-libasi kab se

ghar mein rishton ki kadi tut gai ho jaise
ghar mein rahne lagi ek baat zara si kab se

bantta phirta hai dar dar tu mohabbat sab ko
ghar mein baithi hai idhar dekh piyasi kab se

dil lubhati rahi ek umr ye duniya lekin
muntazir phul rahe ghar mein ye basi kab se

yaad aati hi nahin tujh ko mujhe hairat hai
muntazir hai kisi dahliz pe man si kab se

baal phailae hue phirti hai nafrat hae
ho chuki 'fahmi' mohabbat ki khalasi kab se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close