har khwab yaad rakhne ka paida sabab karen jo aaj tak na kar sake wo kaam ab karen hone laga yahan pe balaon ka phir nuzul ab kuchh na kar sakenge chalo zikr-e-rab karen jugnu-misal khud ko jalaenge raat bhar mamur is tariqe se wo tira-shab karen hum ne to us ka sath nibhaya hai der tak ab us se dur jaane ka kar-e-ajab karen sab jit par manate hain aksar yahan pe jashn hum kyon bapa na haar pe jashn-e-tarab karen aasuda jism-o-jaan hon kabhi shahr-e-sang mein wa is ummid par na yahan chashm-o-lab karen lahron ke sath aane lagi ret pai-ba-pai kab tak daraaz hum yunhi dast-e-talab karen dhundla gaya hai izz-o-sharaf ka har ek naqsh ab kis umid par yahan fikr-e-nasab karen