ab to aae nazar mein jo bhi ho nind ke baam-o-dar mein jo bhi ho jism-o-jaan ka makan hua khali aise tanha safar mein jo bhi ho gunjte hain faza mein sannate tutne ke asar mein jo bhi ho gum to hoga sitara-e-shab-e-dil kam hai is raat bhar mein jo bhi ho dhup ho abr ho ki saya-e-gul ab to is rahguzar mein jo bhi ho 'khawar' us sabz khema-e-gul tak is kadi dopahar mein jo bhi ho