la-makan se bhi pare khud se mulaqat karen khul ke tanhai ki wusat pe zara baat karen har bade nam ko chhoton se jila milti hai shahr ki hashiya-arai mazafat karen laj virani ki rakhni hai chalo ahl-e-junun aabla-pai se aabaad kharabaat karen khet sukhe to hawa phir se sanak jaegi aap baadal hain to dawa nahin barsat karen gulnawazo hamein kanton ne nawaza hai bahut hum pe wajib hai ki zakhmon ki mudaraat karen aish-e-awargi kya kya the teri galiyon mein soch ki pariyan wahin ab guzar auqat karen main agar zikr bhi us ka na karun sheron mein istiaraat alamat ishaaraat karen matn ko husn ke erab ata hum ne kiye hum se tashrih talab jism ki aayat karen ghair mahram se bacha apni ghazal ko 'azim' chhedkhani na kahin maulwi hazraat karen