ab to aate honge kab ke bheje hain main ne tum ko lene raste bheje hain apni taraf se tera waqt bachaya hai teri taraf se khud ko dilase bheje hain us ki lughat mein tanhai ka lafz bhi hai jis ne har ek shai ke jode bheje hain qasid ki jaan-bakhshi par mamnun hun main khat mein us ne khat ke purze bheje hain kaise kam ho sakte hain jo gham tu ne map aur taul ke andaze se bheje hain sarhad par kisi par jab bhi pyar aaya ham-sayon ko yunhi tohfe bheje hain tariki hum khinch ke lae hain ghar tak dubte suraj ko bas tinke bheje hain amn ki khatir itna hi kar sakta tha main ne jang mein apne bete bheje hain