ab kya sochen kya haalat the kis karan ye zahr piya hai hum ne us ke shahr ko chhoda aur aankhon ko mund liya hai apna ye shewa to nahin tha apne gham auron ko saunpen khud to jagte ya sote hain us ko kyun be-khwab kiya hai khilqat ke aawaze bhi the band us ke darwaze bhi the phir bhi us kuche se guzre phir bhi us ka nam liya hai hijr ki rut jaan-lewa thi par ghalat sabhi andaze nikle taza rifaqat ke mausam tak main bhi jiya hun wo bhi jiya hai ek 'faraaz' tumhin tanha ho jo ab tak dukh ke rasiya ho warna aksar dil walon ne dard ka rasta chhod diya hai