ab to apnon se hi hai apne watan ko khatra yani phulon se bhi hota hai chaman ko khatra kahin mandir se hain khatre mein miyan abdullah kahin masjid se nazar aaya madan ko khatra koi pamal na kar de kahin ismat meri rah chalne pe bhi hota hai bahan ko khatra din-ba-din girta hi jata hai adab ka mear dekho hone ko hai ab ja-e-sukhan ko khatra is zamin ne bahut ugle hain lahu ke chashme hoga is bar faqat charkh-e-kuhan ko khatra