na kisi mein nazar aai ye karamat mujh ko warna kyon saunpte duniya ki imamat mujh ko ek muddat se mujhe dhund rahe the ahbab ab mila hun to na chhodenge salamat mujh ko tu agar mera khuda hai to mere pas bhi aa dur aflak se de aur sada mat mujh ko in azabon se bada aur kahan koi azab sahl lagta hai bahut khauf-e-qayamat mujh ko roz dharti wahi dekhun wahi gardun dekhun zahr lagti hai ye aalam ki qadamat mujh ko jaane kyon baithne deta nahin 'sabir' hargiz ek be-nam sa ehsas-e-nadamat mujh ko